Home » Lyrics » Jurmana Lyrics – Kaifi Khalil

Jurmana Lyrics – Kaifi Khalil

Jurmana Lyrics

Aye Shaks Tera Jaana
Mushqil Hai Samjhana
Marne Se Bhi Battar Hai
Ehsaas Ka Mar Jaana

Chal Dede Mujhe Har Gham
Har Jurm Ka Jurmana
Chal Dede Mujhe Har Gam
Har Jurm Ka Jurmana

Munafiq Zamaana
Tera Talabgaar Hai
Tanha Teri Zindagi Hai
Tu Bhi Adakaar Hai
Tu Bhi Adakaar Hai

Jaate Hue Tum Jaana
Yeh Shama Bujha Jaana

Chal Dede Mujhe Har Gham
Har Jurm Ka Jurmana
Chal Dede Mujhe Har Gham
Har Jurm Ka Jurmana

Yeh Hawa Ki Tezi Mein Kaun Tha
Yeh Gubaar Kaun Uda Gaya
Mera Dil Toh Misle Chirag Tha
Sare Shaam Kaun Bujha Gaya

Mere Raaston Mein Kayi Mod The
Kahin Gir Sambhal Ke Main Aa Gaya
Woh Jo Subah Se Tha Mera Muntazir
Hui Shaam Woh Bhi Chala Gaya
Hui Shaam Woh Bhi Chala Gaya

Inkaar Se Aage Hai Hai
Izhaar Ka Tham Jaana
Inkaar Se Aage Hai Hai
Izhaar Ka Tham Jaana

Chal Dede Mujhe Har Gham
Har Jurm Ka Jurmana
Chal Dede Mujhe Har Gham
Har Jurm Ka Jurmana

Aye Shaks Tera Jaana
Mushqil Hai Samjhana
Marne Se Bhi Battar Hai
Ehsaas Ka Mar Jaana

Chal Dede Mujhe Har Gham
Hmm.. Ho Ho Ho..

Chal Dede Mujhe Har Gham
Har Jurm Jurmana
Hmm.. Na Na Ho Ho..

Thank you for reading the lyrics of "Jurmana" by . If you enjoyed the song, share it with your friends and family in the USA! If you notice any errors or discrepancies, please feel free to submit corrections via the Contact Us section. We value accurate lyrics and aim to provide the best content for fans. These lyrics are provided for educational purposes only, respecting the artists and their work. Please share and help others enjoy this track!

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top